Pages

Tuesday, March 22, 2011

intezzar

intezar kar mere dil
jo unka jawab nahi aaya
mat ho bechain ki kyon 
unko mera khayal nahi aaya...
teri yaad ne tadpaya hoga unko bhi
tumse kanhi jyada
par majboor hongi wo
jo unka paigam nahi aaya.....

Sunday, March 20, 2011

few lines

sajna chod diya humne 
dekhne wale na the
ruthna chod diya humne
manane wale na the 
kwab chod diye humne unhe 
sajane wale na the
pyar karna chod diya humne 
chahne wale na the
jeene ki tammana chod di thi  humne
kyonki.....
majhdhar me fassi thi kasti 
aur....
dur tak kinare na the....

Saturday, March 19, 2011

naseeb

khus naseeb hain wo chahnewale jo 
didar karte hain mahboob ka har roz ,
milte hain baat karte hain
sukun pate hain har roj 
humne bhi chaha hai ek haseen ko 
dekha tha unko bus ek  pal
aur luta diya sab kuch
ab yaad me unki marte hain
har pal har lamha har roz....